Thursday, February 6, 2014

Yun tujhe dhoondhne nikle ke na aaye khud bhi


yun tujhe dhoondhne nikle ke na aaye khud bhi
wo musafir ki jo manjil the bajaye khud bhi

kitne gham the ki jamane se chupa rakkhe the
is tarah se ki hame yaad na aaye khud bhi

aysa jalim ki agar jikra me uske koi julm
hamse rah jaye to wo yaad dilaye khud bhi

lutf to jab hai talluk me ki wo shahare jamal
kabhi khiche bhi khichta chala aaye khud bhi

ayse saki ho to fir dikhe rang-e-mahfil
sabko madhosh kare hosh se jaye khud bhi

yaar se hamko tagaful ka gila hai beja
bahra mahfile jaana se uth aaye khud bhi

No comments:

Post a Comment