Friday, February 7, 2014

Muddaton Ke Baad Koi hamsafar Accha Laga

Guftagu acchi lagi jowke najar accha laga
muddaton ke baad koi humsafar accha laga

dil ka dukh jana to mas-ala hai par hume
uska has dena humare halat par accha laga

har tarah ki be-sare-samaniyo ke bawajood
aaj wo aaye to mujhko apna ghar accha laga

kya bura tha agar pada rahta teri dahleej par
to hi bata kya tujhe wo dar badar accha laga

kon maktal me na pahucha kon jalim tha jise
tere katil se jada apna sar accha laga

hum bhi kayal hai wafa-e-ustwari ke magar
koi pooche kon kisko umra bhar accha laga

meer ki manind garche jistkarta tha faraz
humko wo aashufta-khu shayar magar accha laga

No comments:

Post a Comment