Tu paas bhi ho to dile-bekarar apna hai
ki humko tera nahi intzaar apna hai
mile koi bhi tera jikra ched dete hai
ki jaise sara jahan rajdaar apna hai
wo door ho to baja tarke-dosti ka khyaal
wo samne ho to kab ikhtiyar apna hai
jamane bhar ke dukh ko laga liya dil pe
is aasre pe ki ek gamgusar apna hai
bala se jaan ka jiya ho, is aytmad ki khayr
wafa kare na kare firbhi yaar apna hai
Faraz rahate-jaan bhi wahi hai kya kijiye
wo jiske haath se seene figar apna hai